Sunday, July 12, 2015

Nacch Lohri (hindi)

Paon ki ahat
khet mein
dhup ki pehli garmahat
 ret mein
Shheet ki  aakhri raat
dil mein lagi aag
Misri se meethi raakh
Ganne ki ahuti thi khurak
Naachti gaon ki gori
 Aayi khushiyon ki lohri
Gungunati yuvtiyan
Hathon mein matakti matkiyan
Sone ki jhumkiyan
Chhanchanati  chudiiyan
Chumkili sunheri
 gulabi chunri
rat ke tare
behti nadiya mein jaise
Kesh kale
Mathe pe bindiya
Kajal nayan bhavukh
badalon mein mukh
Honthon pe masti chhayi
Khet mein bahaar aayi
Chanchal mann
nrityanganayen
 Kare diyon ka kirtan
Lal hare  rangeelay
abhushan mein
Jhoom ke naache

No comments:

Post a Comment